PAN card aaj ke time me sirf ek govermennt document nahi hai balki ye aapka ek financial identity ban gaya hai.
Chahe aap ek student ho ya fir aap koi job karte ho PAN card har kisi ke liye zaroori hai to aapke paas PAN card hona chahiye.
Hello everyone aaj mai aapko batane wala hoon How to Apply for a PAN Card aap PAN card kaise apply kar sakte hai wo bhi online ghar baithe. Sirf isme aapko 10 minute lagega aur aapka PAN card apply ho jayega.
PAN Card Kya Hota Hai?
PAN card matlab permanent account number jo ek 10 digit ka alphanumeric number hota hai jo ki income tax department ke through issue hota hai.
PAN card aapke financial transaction track karne ke liye use hota hai jaise ki,
Bank account open karne me
Income tax file karne me
Share market me invest karne ke liye
PAN card aapka wo document hai jo aapke saare financial kaamon me use hoga.
How to Apply for a PAN Card Online
PAN card online apply karne ke aapke paas 2 options hai,
Option 1: NSDL Website
Step1: NSDL website open kare uske baad usme NSDL PAN APPLY pe click kare
Step2: Form type choose kare
Step3: OTP verification kare
Step4: Documents upload kare jaise aadhar card, paasport size photo, signature
Step5: Payment kare – isme aapko 93rs ka payment karna hai
Step6: Acknowledgement download kare – ye ek 15 digit ka number hoga jisse aap PAN card ka status track kar sakte ho.
Option 2: Instant PAN via Aadhaar
Step1: Income tax ki website visit kare – https://www.incometax.gov.in/iec/foportal/
Step2: Instant e-PAN section pe click kare
Step3: Aadhaar number daale
Step4: OTP verify karo
Step5: Aapko turant PAN mil jayega PDF format me aap usse download kar sakte ho.
Option2 unn logoo ke liye hai jo pehli baar PAN banwa rahe hai.
Documents Needed For PAN Card
PAN card apply karne ke liye aapko kuch documents chahiye hota hai jaise,
Document Type | Documents |
Identity Proof | Aadhaar, Passport, Voter id |
DOB Proof | Aadhaar, Birth certificate, 10th marksheet |
Address Proof | Aadhaar, electricity bill, passport |
Time Needed For PAN Card
Agar aap option 1 se PAN card banwate ho to aapko 7-15 working days lag sakte hai PAN card aapkke tak aane me.
Aur agar aap option 2 se banwate ho to 10-15 minute me aapka PAN card ban jayega lekin ye PDF format me hoga.
Aur Option 1 se banwane par aapke paas PAN card physically CARD ke format me hoga.
Conclusion: How to Apply for a PAN Card
PAN card apply karna ab bahot hi asaan, fast aur paperless ho chuka hai, aap isse ghar baithe apply karke mangwa sakte hai.
Chahe aap students ho ya fir aap job karte ho aap apna financial journey start karne se pehle PAN card zaroor banwa le kyunki ye aapko hamesha kaam aayega.
PaisePaisa.com– Aapka Financial dost!
Agar aapko ye blog helpful laga ho toh share karo aur apne doubts niche comment me pucho.
FAQ’S: How to Apply for a PAN Card
Kya student PAN card ke liye apply kar sakta hai?
Haan. Agar aap 18+ ho aur aapke paas Aadhaar card hai, toh aap PAN ke liye apply kar sakte ho — chahe aapka koi income na bhi ho.
PAN card ke bina bank account nahi ban sakta?
Account ban sakta hai basic level pe, lekin savings, FD, or investment ke liye PAN card compulsory hota hai.
Physical PAN card milta hai kya?
Agar aap NSDL ya UTI portal se apply karte ho, toh yes – aapko physical PAN card courier se bheja jata hai.
e-PAN aur physical PAN alag hote hain kya?
Nahi, dono valid hote hain. e-PAN bhi digitally signed hota hai.
PAN card track kaise karein?
Acknowledgement number ke through NSDL/UTI site pe jaake “Track PAN Status” option me check kar sakte ho.