Student life me thodi si pocket money aur parents ka support hota hai lekin khud ke kharche ke liye extra paise to chahiye.
Aaj ki iss digital time me aapke paas bahot options hai student life me bhi paise kamane ke.
Hello everyone mai aaj aapko batane wala hoon How to Earn 10000/Month as a Student. Aap apni study ke saath-saath 10000rs/month kaise kama sakte ho.
Freelancing – Apne Skills Se Earn Karo
Agar aapko koi skills aati hai jaise content writing, video editing, graphic design, coding to freelancing aapke liye best option hai college me paise kamane ke.
Agar aapko koi skills nahi aati hai to aap inme se koi ek skills seekh lo, isko seekhne me zyada time bhi nahi lagta hai.

Aap koi ek skill 1 week ke andar seekh sakte ho, to pehle isme se koi ek skill ko acche se seekh lo uske baad uss skill ki help se aap paise kama sakte ho.
Platforms:- Fiverr, Upwork, Freelancer
Earning:- 500-2000 per project. Increasing with experience
Timing:- Flexible, apne schedule ke hisab se kaam karo.
Example:-
5 logo design:- Ek se 500 bhi lete ho to aapke 2500 ho gaye.
4 blog writing:- Ek se 1000 bhi lete ho to aapke 4000 ho gaye.
To isme earning aapke skills pe matter karti hai, aapke paas jitni skills rahegi usi hisab se aapko clients pay karenge.
Part-Time Remote Jobs
Remote job ka matlab hota hai aapko office jakar kaam nahi karna hai aap apne hostel se kaam kar sakte ho.
Bahot saari aisi companies hai jo interns hire karte hai part-time jobs ke liye, aap wahan apply kar sakte ho.
Jobs Info:-
Social Media Management
Virtual assistant jobs
Data entry or research
Platforms:-
Internshala
Naukri
Aapko inn jobs me apne 2-3hrs invest karne hai aur ye aapko 8000-10000 per months tak pay karegi.
Content Creation(Reels+Shorts)
Content creation ek accha option hai aapke college time me paise kamane ka, Aap apne free time me content creation ko try kar sakte ho.


Koi bhi aisa field choose kar lo jisme aapka interest hai aur usi fiels me content create karna start kar do.
Jaise aap finance, entertainment, college life inn sab ke bare me content create kar sakte ho.
Aap regular content post karo, consistent raho.
Content creation me adsense, brand deals se earning hoti hai.
Abhi ke iss digtal zamane me content creation ke field me bahot competition hai lekin agar aap consistently valuable content post karte ho to isse acchi khasi earning hoti hai.
Online Teaching
Agar aapko koi subject bahot accha lagta hai ya aap kisi subject me expert ho to aap uss subject ko padhana start kar sakte ho.

Offline:- Apne area me apne juniors ko padhao, Initially ye best option hai student life me paise kamane ka.
Online: UrbanPro, Vedantu, Chegg pe register karo aur yahan pe padhana start karo.
Earning:- Apko yahan pe aapke experience ki hisab se paisa milta hai generally aap 300-700 per hour earn kar sakte ho.
Reselling & Thrift Store
Thrift store matlab use kiye hua products sell karna, ye easy aur profitable business hai jo aap apne college se start kar sakte ho wo bhi kam se kam investment me.
Instagram, OLX pe apna thrift store banao aur saste me products buy karo aur apna margin laga ke becho.
Example:-
Maan lo 1000 ka shirt hai aap usse 300 me buy karo aur 500 me sell karo.
Affiliate Marketing

Affiliate marketing ek bahot hi easy aur best option hai apne college life me paise kamane ka.
Isme aapko amazon,flipkart ka affiliate program join karna hai aur fir product ka link apne dosto ko share karo.
Wo aapke link se buy karenge to aapko har sale pe commission millega.
Aap apne college life me affiliate marketing try kar sakte ho, kyunki isme aapko investment ki need nahi hoti hai.
Blogging
Blogging means jaise aap apna content youtube ya instagram ppe post karte ho lekin wo video ke format me hota hai.
Waise hi blogging me aapko writen form me content post karna hota hai.

Iske liye aapko 2-3 hours daily Dene honge aur isse aap acchi income generate kar sakte ho, iske liye aapko sabse pahle bloggers ya wordpress pe account banana padega aur aapko hosting aur domain lena padega.
Blogging me ads aur sponsored posts se earning hoti hai. Isme aapko thoda time lagega lekin isse aapki passive income banti hai.
How to Manage College and Extra Earning?
2-3 hours roz nikaalo
Pehle ek hi skill pe focus karo
Starting me earning kam hogi lekin kaam karte raho
Scam se bachke rahna – Kisi unknown ko paise mat dena
Conclusion: How to Earn 10000/Month as a Student
Dekho college time agar aap thode bahot bhi paise kamane lagoge to ye aapka confidence level high karega aur aapko experience bhi gain hoga.
To apne college time me ek skill seekho aur usse earning start kar do, jisse aapko future me paiso ki koi problem naa ho.
Aur aap 19-20 ki age me hi kamana start kar doge to aapke paas itna experience ho jayega ki aap kisi bhi field me accha kar sakte ho.
PaisePaisa.com– Aapka Financial dost!
Agar aapko ye blog helpful laga ho toh share karo aur apne doubts niche comment me pucho.
FAQ’S: How to Earn 10000/Month as a Student
Students ke liye sabse easy earning option kaunsa hai?
Tutoring ya freelancing sabse easy aur best option hai.
Kitna time dena padega?
2-3 hours daily kaafi hain.
Kya investment karna zaroori hai?
Nahi, most options free hain. Sirf internet aur laptop/phone chahiye.
Fake jobs kaise identify karein?
Jo pehle paisa mange ya unrealistic income promise kare wo fake hai.
Kaunsi skills demand me hain?
Graphic design, video editing, content writing, coding