Multibagger stocks kya hai (less investment high profit)
Hello everyone aaj mai aapko batane wala hu multibagger stocks ke bare me jisme aap Kam paise invest karke high profit bana sakte ho.
To chaliye mai batata hu aapko ki multibagger stocks kya hai isse aap kaise paise bana sakte ho, mai aapko is chote se article me bta dunga ki multibagger stocks kya hota hai aur multibagger stocks ko kaise pahchane.
Multibagger stocks kya hai
Multibagger stocks use kahte hai jisme aap Kam paise laga ke high profit bana sakte ho isme aap ek baar paise invest kar dete ho uske baad aapko returns milte rahte hai.
Koi share Kam paiso ka rahta hai aur wo bahot hi kam time me bahot hi jyada return deta hai use kahte ha multibagger stocks ye pure tarike se company ke growth pe nirbhar karta hai.
Ki wo market me kis tarike se kaam kar rha hai jisse uski growth hoti hai tabhi wo accha return de sakta hai. ise hi multibagger stocks kahte hai.
Multibagger stocks ko kaise pahchane
Multibagger stocks ki pahchan kaise kare ye aapke dimag me chal rha hoga to aaiye aapko bate hai aap multibagger stocks ko kaise pahchan sakte ho.
Iske liye aapko ye dekhna hoga ki kon si company market me accha kaam kar rhi hai jo future me accha kar sakti ho future me high return de sakti hai. to wo multibagger stocks ho sakti hai.
iske liye aap company ka P.E ratio dekhiye isse aap multibagger stocks pahchan sakte ho. aur kam inestment me high profits bana sakte ho.
Company ke profits dekhe

Company ke profits dekhe ki wo kitna accha kaam kar rhi hai.Agar company accha kaam kar rahi hai to uske growth achhe honge to,
Multibagger stocks ko pahchanne ke liye ye dekhna hoga ki wo company kitna growths kar rhi hai.
Abhi electric vehicle ka zamana aane wala hai bharat me to aap ev sector ke stocks dekh sakte ho jo accha profits bana rhi hai wo ek multibagger stocks ho sakta hai.
Paid Sponsored By
Debt to equity dekhe
Aap kisi bhi company ka stocks buy karne se pahle us company ka debt to equity dekhiye agar wo 0.3 se jyada hai to aapko us company ke shares nhi buy karne chahiye
Kya company dividend de rhi hai
Dividend wo hota hai ki company ki jo profits hota hai uska kuch hissa wo apne sharesholder ko deti hai agar wo company dividend de rhi hai.
To aage chalkar multibagger stocks ban sakti hai agr koi company dividend nhi de rhi hai to shayad hi wo company aage chalke multibagger stocks bane.
EPS( earning per share ) ko dekhiye
EPS wo hota hai ki company ek shares se kitna paisa kama rhi hai agar aapko company ka EPS dkhna hai to company ke fundamental analysis wale section me jaye wa pe aapko EPS likha hua milega aur wha dekhe earning per share agar wo jyada hai to aap shares ko buy kar sakte ho wo multibagger stocks ban sakta hai.
Multibagger stocks buy karna chahiye ya nhi
Ye sawal hai ki multibagger stocks buy karna chahiye ya nhi to total aapke research pe depend karta hai ki aap us company ka kis tarah se research kiya hai.
Agar upar jo maine bataya hai agar wo criteria stocks fullfill karti hai to aap us stocks ko le sakte ho aap stocks ko acche se research karke hi le,
kyonki agar aapne kisi galat stocks ko choose kar liya to aapko loss bhi ho sakta hai to aap acche se research karne ke baad hi stocks ko buy kare.
Multibagger stocks buy karne ka ye fayda hota hai ki aapko kam paise me acche stocks mil jata hai jisse aapko future me kam time me accha profits ho sakta hai,
lekin ye pure tarah se aap ke upar depend karta hai ki aapne us stocks ke bare me kaise research karte ho agr acche se research kar ke invest karoge to badhiya rahega nhi karoge research acche se to loss bhi ho sakta hai.
Conclusion
Upar maine ek chote se articles me bata diya hai ki aap multibagger stocks ko kaise choose kare multibagger stocks kya hota hai lekin aap apna investment karne se pahle acche se research kar lena tabhi investment karna. aap jankari ke liye articles padh sakte ho ki ye kya hota hai isme investment karne ke liye kya kya dekhna chahiye stocks me.
FAQ’S-Multibagger stocks kya hai
Multibagger stocks kya hote hain?
Multibagger stocks woh shares hote hain jo time ke sath investor ko unke paison ka kai guna return dete hain.
Jaise agar aapne ₹100 ka stock kharida aur wo ₹500 ka ho gaya, to wo 5-bagger kehlaayega. Ye stocks long-term mein paisa banane ke liye acche hote hain.
Multibagger stocks kaise pehchane?
Kuch points jinse aap potential multibagger stock identify kar sakte ho:
Company ke fundamentals strong hone chahiye (low debt, high ROE, etc.)
Industry mein uska strong position ya monopoly ho
Management ka track record accha ho
Future growth ki strong possibilities ho
Stock sasta ho ya undervalued ho
Kya multibagger stocks risky hote hain?
Haan, risk to hota hi hai. High return ka matlab high risk bhi hota hai. Agar company ka performance kharab ho gaya ya market crash ho gaya to nuksaan bhi ho sakta hai.
Kya penny stocks bhi multibagger ban sakte hain?
Kabhi-kabhi penny stocks bhi multibagger ban jaate hain, lekin unmein bahut zyada risk hota hai. Inmein manipulation, liquidity issues, aur transparency ka issue hota hai.