Top 3 Low-Cost Cryptos to Watch in 2025

By Dilshad

Published on:

Top 3 Low-Cost Cryptos

Hello everyone mai aaj aapko batane wala hoon Top 3 Low-Cost Cryptos jisme aap 2025 me invest karne ke baare me soch sakte ho.

Kyunki Bitcoin aaj itna mehnga ho gaya hai ki sab log usme invest nahi kar sakte hai hume chahiye kuch sasti crypto jo future me dhamaka kare.

To chaliye mai aaj aapko bataunga wo kon-kon se crypto coin hai jo future me accha growth kar sakte hai, unka growth potential high hai.

1. Shiba Inu (SHIB)

Ye ek aisa crypto currency hai jo start hua tha meme coin ban ke abhi iska price may 2025 me 0.001265rs pe trade kar raha hai, start hua tha meme coin ban ke lekin abhi SHIB ka apna ecosystem hai.

Shibarium(Layer-2 blockchain), SHIB metaverse, aur even token burn mechanism hai jo supply kam karta hai.

Aur iski community itni active hai ki kabhi kabhi elon musk bhi tweet kar deta hai iske baare me.

Growth Potential

SHIB already 90% niche jaa chuka hai apne all time high se to isme chances zyada hai aage jaane ke aur investment bhi kam hi lagega isme par apne risk pe acche se research karke hi investment karna.

2. VeChain (VET)

Ye ek aisa crypto currency hai jo enterprise blockchain aur logistics category mein kaam karta hai, VET use hota hai supply chain tracking ke liye, aur iska current price 2-3rs pe trade kar raha hain.

Jaise asli vs duplicate maal, food tracking, pharmaceuticals me is crypto currency ka use hota hai jo is crypto currency ko special banata hai.

Brands jaise BMW. Walmart china isse real life me use kar rahe hain.

Growth Potential

Iska growth potential bahot high hai kyunki ye real life me use hone waali coin hai na ki ek meme coin hai to ye long-term investment ke liye badhiya choice hai.

3. XRP (Ripple)

Ye ek aisa crypto currency hai jo cross-border payments ki category me kaam karta hai jiska current price abhi 200 pe trade kar raha hain.

Ispe SEC ne legal case kar diya tha jo 2023 me XRP ne battle jeet liya tha jiske baad market ka trust phir se ispe wapas aa gya hai.

XRP crypto currency ka main focus fast aur international payments ko cheap banan hain matlab SWIFT ka crypto version.

Growth Potential

Is crypto currency ka growth potential bahot high hai kyunki isko legal clearence mil chuka hai ab jitne zyada banks iska use karenge iska demand utna badhega.

Iska price thoda mehnga hai lekin iska future secure aur stable hai to long-term investment ke liye ye badhiya crypto currency hain.

Conclusion: Abhi Ka Time Hai, Future ki Taiyari Ka

Mai pehle aapko bata doon har 1rs waala sasta coin bitcoin nahi hota to apne paise investment karne se pehle un coin me ye sab zaroor dekho.

Checklist:

Use-case kya hai

Team kaisi hai

Community active hai ya nahi

Kya coin ka roadmap solid hai

Ye sab check karo aur uske baad hi invest karo apne paise.

2025 ke crypto market mein ek naya bullish cycle aa sakta hai to aap agar sahi low cost crypto chunte ho to wo aapko accha profits de sakti hai lekin invest karne se pahle jo maine checklist batayin hain wo zaroor dekh lena uske baad hi invest karna.

PaisePaisa.com– Aapka Financial dost!

Agar aapko ye blog helpful laga ho toh share karo aur apne doubts niche comment me pucho.

FAQ’S: Top 3 Low-Cost Cryptos to Watch in 2025

1 se neeche wali crypto sasti hoti hai, par kya safe hoti hai?

Dekh yaar, sasti ka matlab yeh nahi ki jackpot milega.
Kisi bhi coin ke peeche ka idea, team, aur use-case dekhna important hota hai. SHIB aur VET jaisi coins isliye alag hain kyunki inke peeche real kaam ho raha hai. Har ₹0.10 wali coin “hidden gem” nahi hoti.

Toh 2025 ke liye best low-cost crypto kaunsi hai?

Depends karta hai bhai, tu kya chahta hai:
Tez return chahiye? SHIB dekh
Real business use chahiye? VeChain le
Stable aur legal clarity chahiye? XRP best hai
Thoda thoda teenon mein daalna bhi smart move hai.

Kya SHIBA INU ₹1 tak jaa sakti hai? Reality batao.

Bro, dil se chahta hoon, lekin dimaag bolta hai “nahi.”
SHIB ki supply itni zyada hai ki ₹1 tak jaana kaafi unrealistic hai. Lekin haan, agar market bullish hua, toh 3X ya 10X bhi ho sakta hai. Soch ke chalna.

XRP ka legal case toh chal raha tha na? Kya status hai ab?

XRP ne 2023 mein SEC ke case mein major win liya.
Ab kaafi clarity aa gayi hai aur log dobara trust kar rahe hain. 2025 ke liye XRP kaafi strong candidate hai, especially agar banking system aur adopt karta hai.

VeChain ka naam pehli baar suna. Karta kya hai yeh?

Bhai yeh crypto duniya ka dabbang hai – logistics aur supply chain ka king.
Jab tu online kuch order karta hai aur tu chahta hai wo asli ho – wahi kaam VeChain karta hai. BMW aur Walmart jaise bade players isse already use kar rahe hain.

Kahan se kharidoon? Kaun sa app safe hai India mein?

WazirX, CoinDCX, CoinSwitch Kuber – yeh teen trusted platforms hain India mein.
KYC complete karna zaruri hai, aur kabhi bhi unknown ya Telegram wale jhol apps se mat lena.

Leave a Comment